hum ko dikha dikha ke ghairon ke itr malna

hum ko dikha dikha ke ghairon ke itr malna
aata hai khub tum ko chhati pe mung dalna

mahshar bapa kiya hai raftar ne tumhaari
is chaal ke tasadduq ye bhi hai koi chalna

ghairon ke ghar to shab ko jate ho barha tum
bhule se mere ghar bhi ek roz aa nikalna

hat ki kuchh intiha hai zid ki bhi koi had hai
ye baat baat par to achchha nahin machalna

jalta hai ghair hum se to kya khata hamari
tum ye samajh lo us ki taqdir mein hai jalna

jab tak hain tere dar par dil-bastagi si hai kuchh
ye aastan jo chhuta mushkil hai ji bahalna

dekho 'hafiz' apne ji ki jo khair chaho
baste jidhar hasin hon wo rasta na chalna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close