hum ko kab intizar hai fasl-e-bahaar ho na ho dagh-e-jigar shagufta baad-e-gul ba-kanar ho na ho dard tu mere pas se marte talak na jaiyo taqat-e-sabr ho na ho tab-o-qarar ho na ho subh to hui hai der kya teri bala se saqiya jam-e-sharab tu to de hum ko khumar ho na ho tir-e-nigah laga ke tum kahte ho phir laga na khub mera to kaam ho gaya sine ke par ho na ho talib-e-yak-nazara hun itna bhi mujh se bair kya munh to meri taraf ko ho go ki do-chaar ho na ho halqa-e-dar hai halqa-zan koi bhala khabar to lo dil mera shadi-marg hai hai wahi yar ho na ho 'hatim' agar gunah kare shikwa na kar khuda se dar fidwi jaan-nisar hai tu bhi hazar ho na ho