hum ko tanhai hi tanhai nazar aati hai jo tumhein anjuman-arai nazar aati hai is liye dil ke hare zakhm hue hain shayad chashm-e-ehsas ko purwai nazar aati hai aap ke sher mein alfaz to jaise hon magar aap ke sher mein gahrai nazar aati hai is liye aur bhi sunta hun unhen ghaur se main un ki har baat mein girai nazar aati hai meri haalat ke faqat aap tamashai nahin sari duniya hi tamashai nazar aati hai wo khuli aankhon mein binai kahan se aae band aankhon mein jo binai nazar aati hai aap mahfil mein jo khamosh raha karte hain is mein bhi aap ki danai nazar aati hai pahle tanhai bhi mahfil ka maza deti thi aaj mahfil mein bhi tanhai nazar aati hai aap ko sher nazar aate hain lekin 'mukhtar' hum ko ye qafiya-paimai nazar aati hai