hum log to aakas ki belon mein ghire hain khush-bakht hain jo gulshan-e-hasti mein khile hain is dhup ki shiddat se nahin koi mafar ab diwar ke sae mein bade log khade hain kis kis ko dikhate rahen jebon ke ye surakh har mod par kashkol liye log khade hain ek roz hamin honge ujale ke payambar hum log ki muddat se andhere mein pade hain ye zist kuchh aise hai ki uljhe hue dhage tute hue niklen jinhen samjhen ki sire hain har roz koi tanka udhad jata hai phir se hum waqt ki sozan se kai bar sile hain jab waqt pada dekhna de jaenge dhoka ye dost nahin 'fakhr' sabhi kachche ghade hain