hum pariyon ke chahne wale khwab mein dekhen pariyan dur se rup ka sadqa banten hath na aaen pariyan rah mein hail qaf pahad aur hath charagh se khali kyunkar jinnon ke changul se hum chhudwaen pariyan aashaon ki sohni sajri sej sajae rakkhun jaane kaun ghadi mere ghar mein aan barajen pariyan sare shahr ko chandni ki khairaat us roz main bantun jis din khwahish ke aangan mein chham se utren pariyan kachche gharon se aas-haweli jaane ki khwahish mein pahron aaine ke samne baith ke sanwaren pariyan pariyon ki tausif mein aise sher 'raza' main likkhun jin ko sun kar udti aaen jhumen nachen pariyan