hum rah gae hamara khalal kyun nahin raha mushkil ka ek hal tha wo hal kyun nahin raha mud mud ke dekhta hun wahin ka wahin ghubar main chal raha hun rasta chal kyun nahin raha mauzua ko badalta hun safhe ulatta hun mazmun kya bataun badal kyun nahin raha mere aur us ke beach shab-e-akhirin ka dagh ek aakhiri charagh hai jal kyun nahin raha main ne kaha khuda se khuda ne kaha mujhe ghar se koi gali mein nikal kyun nahin raha