hum thahre barbaad-e-mohabbat aalam sara jaane hai dil pe hamare kya guzre hai dil hi hamara jaane hai ai sahil se dekhne walo tum ko ye malum nahin dubne wala kyon tinke ko apna sahaara jaane hai tum kya jaano ishq-e-butan ko tum ne ishq kiya kab hai un ki ada-e-jaur-o-sitam ko dard ka mara jaane hai hum bhi haqiqat jaan rahe hain baithe baithe khwabon ki wo hai nazar ka dhoka jis ko dil ye nazara jaane hai galiyon galiyon phirta hai jo dil mein tumhaari yaad liye duniya us ko pagal samjhe aur bechaara jaane hai aap ise samjhen na samjhen hum ko hai malum 'majid' koi to hai jo hum ko abhi tak aankh ka tara jaane hai