hum to karbal ko hi bas dar-e-baqa kahte hain us ki mitti ko suno khak-e-shifa kahte hain ye to bas mujh se hi ho jati hai ghaflat aksar jo bhi kahte hain bade mere baja kahte hain phenki lakdi to kabhi rasta kabhi sanp bana us ko lakdi nahin musa ka asa kahte hain main saza lafz ki tarif batata hun suno muntazir hone ko bhi jaan saza kahte hain bhuk marte hue bachchon ko jo khana la de us masiha ko hi farzand-e-khuda kahte hain kitne sada hain makin yar teri basti ke zahr ke jam ko bhi aab-e-baqa kahte hain shams tabrez se apni hai aqidat itni hum qalandar ko tabhi shams-numa kahte hain jo teri yaad mein har raat bapa hoti hai aisi mahfil ko 'sahar' bazm-e-aza kahte hain