hum to yan marte hain wan us ko khabar kuchh bhi nahin ai wo sab kuchh hi sahi ishq magar kuchh bhi nahin tum ko fariyaad-e-sitam-kash ka khatar kuchh bhi nahin kuchh to ulfat ka asar hai ki asar kuchh bhi nahin aafiyat ek aur aazar hazaron us mein jis ko kuchh sud nahin us ko zarar kuchh bhi nahin khalwat-e-raaz mein kya kaam hai hangame ka hai khabar-dar wahi jis ko khabar kuchh bhi nahin tu aur ek shan ki aalam ki nazar mein kya kuchh main aur ek jaan ki phirte hi nazar kuchh bhi nahin rahm hai us ka hi aashob-e-qayamat ki dalil jis se bezar hai wo us ko khatar kuchh bhi nahin hum ko is hausle pe kyun ki falak de saman shikwa-e-bar hai aur minnat-e-sar kuchh bhi nahin rahi-e-mulk-e-adam hain nahin fikr-e-manzil qasd rakhte hain udhar ka ki jidhar kuchh bhi nahin zist afsun-e-tamasha hai tawahhum ke liye hoti hai jalwa-numa misl-e-sharar kuchh bhi nahin khud-parasti ke sabab shaikh-o-barahman ko hai khabt sab idhar hi ki banawat hai udhar kuchh bhi nahin aaqibat-bin ko hai har bazm ki shadi matam shama roti hai ki hote hi sahar kuchh bhi nahin roz-e-furqat ki daraazi se na dekhe shab-e-hijr hasrat-e-sham mein tashwish-e-sahar kuchh bhi nahin jaante hain ki na bhatkega jahan kya kya kuchh dekhte hain ki unhen madd-e-nazar kuchh bhi nahin ai 'qalaq' pite hi masjid mein chale aate ho be-khabar kitne ho tum bhi ki khabar kuchh bhi nahin