hum us ke samne husn-o-jamal kya rakhte jo be-misal hai us ki misal kya rakhte jo bewafai ko apna hunar samajhta hai hum us ke aage wafa ka sawal kya rakhte hamara dil kisi jagir se nahin arzan hum us ke samne mal-o-manal kya rakhte use to rishte nibhane ki aarzu hi nahin phir us ki ek nishani sambhaal kya rakhte jo dil pe chot lagane mein khub mahir hai hum us ke samne apna kamal kya rakhte hamare zarf ka logon ne imtihan liya zara si baat ka dil mein malal kya rakhte jo apne dil se 'iram' ko nikal baitha hai hum us ke samne hijr-o-visal kya rakhte