hum uTh jaenge mahfil se to un ko justuju hogi

hum uth jaenge mahfil se to un ko justuju hogi
hamara zikr aaega hamari guftugu hogi

ye mana dekhne ko wo zamana hum nahin honge
hamein dhundegi duniya jab tumhaari justuju hogi

kisi ka khun-e-nahaq raegan to ja nahin sakta
wafa ka rup nikhrega mohabbat surkh-ru hogi

tumhaare nam se pahle hamara nam aaega
jahan ishq-o-wafa ke silsile mein guftugu hogi

bada pur-lutf hoga wo niyaz-o-naz ka aalam
nazara tu karega dil nazar se guftugu hogi

farogh-e-jalwa-gah-e-naz apni hi nazar tak hai
wahan tak jalwe bhi honge jahan tak justuju hogi

tajalli khud bhi parda hai magar jab dil se dekhenge
ba-har-surat nigahon mein wo surat hu-ba-hu hogi

nazar ka muddaa dil ki tamanna kaun dekhega
wo jaan-e-arzu hoga to kis ko aarzu hogi

bikhar jaega sab husn-e-chaman-bandi ka shiraaza
hawa-e-sar-kashi mein jab faza-e-rang-o-bu hogi

hum is munh bolti bechaargi par dam-ba-khud honge
wo honge samne be-khud nigah-e-jalwa-ju hogi

saliqa aate aate aaya hai nazron se pine ka
'rishi' ab mai-kashi be-gana-e-jam-o-subu hogi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close