hum wo aawara ki jo dasht na ghar ke liye hain jaane phir kaun si duniya-e-digar ke liye hain jabr mausam ke hain jitne bhi shajar ke liye hain un ko kya is se jo betab samar ke liye hain raunaqen bhi to bujha deti hain aankhen aksar kuchh nazare hain ki qatil jo nazar ke liye hain ras aati hai bhala un ko kahan nan-e-jawin log zinda ye faqat luqma-e-tar ke liye hain tum to aflak se taron ki khabar le aae hum pareshan abhi samt-e-safar ke liye hain