humne aankh se dekha kitne suraj nikle Dub gae

hum ne aankh se dekha kitne suraj nikle dub gae
lekin taron se puchho kab nikle chamke dub gae

do sae pahle aakash tale sahil par baithe the
lahron ne liptana chaha aur bechaare dub gae

pedon par jo nam likhe the wo to ab bhi baqi hain
lekin jitne bhi talab mein patthar phenke dub gae

unche ghar aakash chhupa kar apne aap pe nazan hain
chaaron or khule aakash ke suraj pichhe dub gae

ab to hamein ek sher ka hona bhi na-mumkin lagta hai
ab to din ki nili jhil mein raat ke tare dub gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close