hum ne ashkon se tera nam likha pani par yun jalaya hai sar-e-sham diya pani par bhigi palkon pe ubharte gae yaadon ke nuqush dekhte dekhte ek shahr basa pani par mausam-e-nau ki khabar khushk zaminon ke liye tairta aata hai patta jo hara pani par munhasir chaar anasir pe hai insan ka wajud naqsh mitti ka bana aag hawa pani par kisi zardar ke aage na pasara daman ek khuddar kai roz jiya pani par kaun guzra hai ulajhta hua maujon se 'shabin' dur tak kis ke hain naqsh-e-kaf-e-pa pani par