humne jalte hue KHemon ki wo shaMein rakh din

hum ne jalte hue khemon ki wo shamen rakh din
sher mein lafz rakhe lafz mein chikhen rakh din

main ne bhi us ko diya pahli mulaqat mein dil
mere daman mein bhi us ne meri ghazlen rakh din

yun laga aankh bachane pe jhapakti hai palak
usi taswir pe main ne bhi nigahen rakh din

raushni ke har ek imkan pe dala parda
ek ladki ne meri soch pe zulfen rakh din

phir utha yaad ke aangan se udasi ka dhuan
kis ne taqon mein jala kar meri shamen rakh din

ishq itna tha ki mahfuz kahan rakhte hum
aur man bap ne baste mein kitaben rakh din

pesh jab karne lage sab tere jalwon ko khiraj
hum ne bhi la ke wahan tasht mein aankhen rakh din


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close