hum ne jo dip jalae hain teri galiyon mein apne kuchh khwab sajae hain teri galiyon mein jaane ye ishq hai ya koi karamat apni chand le kar chale aae hain teri galiyon mein tazkira ho teri galiyon ka to dar jata hai dil ne wo zakhm uthae hain teri galiyon mein is liye bhi teri galiyon se hamein nafrat hai hum ne arman ganwae hain teri galiyon mein kyun har ek chiz adhuri si hamein lagti hai jaane kya chhod ke aaen hain teri galiyon mein