hum ne ye baat sab ki zaban se suni to hai is waqt uljhanon mein har ek aadmi to hai hum ko safir-e-shahr-e-wafa manti to hai duniya ye hum ko jaanti pahchanti to hai qarun ka khazana main le kar karunga kya mujh ko kisi ke pyar ki daulat mili to hai ummid ka charagh jalata hun is liye ummid ke charagh mein kuchh raushni to hai har shakhs kah raha hai bura mujh ko shahr mein mujh mein zarur koi na koi kami to hai parde mein tum hansi ke chhupao hazar gham lekin tumhaari aankhon mein 'sahir' nami to hai