hum se gumrah zamane ne kahan dekhe hain hum ne mitte hue qadmon ke nishan dekhe hain aap ne dekh ke har ek ko nazar pheri hai aap ne sahib-e-ehsas kahan dekhe hain zindagi sidhi si ek rah nahin hai ai dost is mein jo mod hain wo tu ne kahan dekhe hain dil jahan larze umidon ka tasawwur kar ke main ne ummid ke aasar wahan dekhe hain uth gai aankh agar meri to jam jaegi aap ne dida-e-har-su-nigran dekhe hain