hum se logon ka jahan bhar mein thikana kya hai tum to sab jaante ho tum ko batana kya hai jo diya dekh ke binai se mahrum hua aise kam-zarf ko suraj ka dikhana kya hai teri qismat jo rawan zindagi hasil hai tujhe tu nahin jaanta dhakke se chalana kya hai hoti duri to tere gham ko manate hum bhi kaun sa hijr tera khwab mein aana kya hai main jo andaze lagane mein laga hun kab se kya koi mujh ko bataega zamana kya hai dasht mein ret thi ya ishq ki daulat ‘sahib’ ghar se nikle to samajh aai kamana kya hai