humse pahle to koi yun na phira aawara

hum se pahle to koi yun na phira aawara
dard aawara dil aawara wafa aawara

kya use mil gai kuchh tere badan ki khushbu
aaj phulon mein nahin aai saba aawara

jis ki nuzhat se do-baala thi watan ki raunaq
shahr se dur mujhe wo bhi mila aawara

main ne kab mujh se na milne ka gila tum se kiya
ab mujhe tum na kaho bahr-e-khuda aawara

phir teri yaad ne sine mein basera dala
phir tere shahr mein aabaad hua aawara

be-karan waqt ki bandish se mili aazadi
chand lamhon ke liye main bhi hua aawara

tohmat-e-qadr bhi hai jabr ki ruswai mein
pa-ba-zanjir ko bhi tum ne kaha aawara

dhup hai tapti hui ret hai virani hai
aaj dekha nahin wo aabla-pa aawara

bewafa logon ke hathon se chhuda kar daman
dil mein kis shauq se phirti hai wafa aawara

sochta hun ki use jab na mile sharaf-e-qubul
kin khalaon mein bhatakti hai dua aawara

ek aandhi gham-e-jaanan ki zara thahri thi
ek bagula gham-e-dauran ka utha aawara

kitni aankhon ke taaqub se hiraman ho kar
kunj-e-tanhai mein aabaad hua aawara

rukh-e-raushan ki jhalak shart-e-wafa hai jaanan
teri galiyon ka pata bhul gaya aawara

khema-zan phir se hui sehn-e-chaman baad-e-sumum
phir mere sath hui baad-e-saba aawara

manzil-e-ishq pe pahunche to koi sath na tha
dil juda khak-basar aankh juda aawara

nutq viran hai alfaz pareshan hain 'munir'
soch hai sang-e-giran aur sada aawara


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close