hum se rudad-e-mohabbat mein khayanat na hui us se bichhde to kisi aur se ulfat na hui dil mein baste tha mere wo kabhi dhadkan ki tarah baad is ke to mere dil ko mohabbat na hui kis tarah sab ko bataun main bichhadne ka sabab zarb aisi mili mujh ko kabhi himmat na hui us ko jaldi thi kisi aur se milne ki tabhi aisa rutha wo manane ki bhi mohlat na hui wahi shamil hai mere khun-e-jigar mein jis ko mujh se milne ki dobara kabhi chahat na hui jab talak tha wo meri zat mein raushan 'kashif' meri aankhon ko ujale ki zarurat na hui