hum se rukhsar wo lab bhul gae zindagi karne ka dhab bhul gae raat-din mahw raha karte the jaane kya thi wo talab bhul gae aa gaya sar pe dhalta suraj raat ke shor-o-shaghab bhul gae ranj-e-mahrumi-e-dil yaad raha raunaq-e-bazm-e-tarab bhul gae naqsh-e-diwar bane baithe hain yaad itna hai ki sab bhul gae zindagi bigdi to aisi bigdi jo bhi the ranj-o-tab bhul gae dil mein kya kya na the arman 'salam' shukr sad shukr ki sab bhul gae