hun main bhi wahi mera muqabil bhi wahi hai patthar bhi wahi aaina-e-dil bhi wahi hai majbur hun main aab-o-hawa hai meri mukhtar jo lala-o-gul ki hai meri gul bhi wahi hai jaise wo kisi aaina-khana mein makin ho paikar bhi wahi aks wahi zil bhi wahi hai ye khwab ka aalam hai ki lamhat hain sakit main ab bhi wahin baitha hun mahfil bhi wahi hai kis fikr mein ho ghar ki taraf laut bhi jao jo nuqta-e-aghaz hai manzil bhi wahi hai jis ne mujhe parwaz ye aamada kiya tha kya kije ki ab rah mein hail bhi wahi hai 'shahid' hain abhi kohar ke baadal jo kabhi the aur barf ki sine pe abhi sil bhi wahi hai