husn-e-mutlaq hai kya kise malum ibtida intiha kise malum meri betabiyon ki kha ke qasam barq ne kya kiya kise malum din-dahade shabab ke hathon hae main lut gaya kise malum meri kuchh garm o sard aahon se aasman kya hua kise malum husn ka har khayal raushan hai ishq ka muddaa kise malum 'sehr' ke ham-nawa farishte hain hai maqam us ka kya kise malum