husn-e-takmil-e-tamanna hai saba ho jaana shahr-dar-shahr har ek dil ki rawa ho jaana pas aa aa ke har ek lamha bichhadna tera jaise khushbu ka rag-e-gul se juda ho jaana is tarah tut ke barse hain garajte baadal jaise jagi hui aankhon ki sada ho jaana zindagi tu ne kai rang bhare hain paiham zulf-e-shab-rang kabhi rang-e-hina ho jaana kitne ban-bas liye phir bhi tere sath rahe hum ne socha hi nahin tujh se juda ho jaana jaan-gusil waqt ki taswir adhuri rakh di hum ne chaha nahin har rang ka wa ho jaana khetiyan sukh gain khushk hue dil ke nagar bawar aaya hamein pani ka hawa ho jaana bujh gae rah-e-tamanna mein hazaron jugnu tum mere waste naqsh-e-kaf-e-pa ho jaana ye bhi mumkin nahin ai dost to sab ki khatir chandni ban ke kahin jalwa-numa ho jaana