husn jab qatil na tha aur ishq diwana na tha zindagi mein dard-o-gham ka koi afsana na tha sab se wo kahta phira main hi tha us ka aashna samne aaya to us ne mujh ko pahchana na tha raat-bhar kuchh aahaten dil ki taraf aati rahin hum the jis ke muntazir us ko magar aana na tha ek sahmi si tamanna ek mubham sa khayal is se badh kar mere dil mein koi nazrana na tha dekhiye kis samt ab ke le chale aawargi dasht aisa kaun sa tha hum ne jo chhana na tha shoala-e-gham jal utha to bujh gae sare charagh aatish-e-dil gul hui to koi parwana na tha