husn ka ek aah ne chehra nidhaal kar diya aaj to ai dil-e-hazin tu ne kamal kar diya sahta raha jafa-e-dost kahta raha ada-e-dost mere khulus ne mera jina muhaal kar diya mai-kade mein hai qaht-e-mai ya koi aur baat hai pir-e-mughan ne kyun mujhe jam sambhaal kar diya jitne chaman-parast the saya-e-gul mein mast the apna uruj-e-gulistan nazr-e-zawal kar diya khud mera soz-e-jaan-gudaz chhed saka na dil ka saz aap ki ek nigah ne sahab-e-haal kar diya bazm mein sare ahl-e-hosh un ke sitam pe the khamosh ek junun-parast ne uth ke sawal kar diya lutf-e-firaq-e-yar ne lazzat-e-intizar ne dur dil o nigah se shauq-e-visal kar diya sun ke bayan-e-mai-kada dekh ke shan-e-mai-kada shaikh-e-haram ne bhi 'fana' mai ko halal kar diya