husn ke gun gin sakun ye gun kahan rakhta hun main lab nahin khulte magar zauq-e-bayan rakhta hun main lau jahan di shama ne main bhi tadap kar jal bujha fitrat-e-parwana-e-atish-ba-jaan rakhta hun main phir mere daman mein koi phul khilta hi nahin jab zara qabu mein chashm-e-khun-fishan rakhta hun main be-lutae kat nahin sakti mataa-e-ishq-e-dost daulat-e-begana-e-khauf-e-zaman rakhta hun main gulshan-e-jamhur ho ya jannat-e-mazdur ho kuchh alag in se zamin-o-asman rakhta hun main tod deta hai tilism-e-har-nizam-e-pur-fareb dil mein jo dard-e-kasan-o-na-kasan rakhta hun main khirman-e-baatil unhin se hoga 'arif' shoala-ru fikr ki har mauj mein wo bijliyan rakhta hun main