husn ke jalwe luTae teri ranai ne

husn ke jalwe lutae teri ranai ne
raaz sab khol diye ek hi angdai ne

rang bhar kar teri taswir mein jazb-e-gham ka
apni taswir bana di tere saudai ne

wasl-e-mahbub ki tadbir sujhai mujh ko
haq-parasti ne aqidat ne jabin-sai ne

hum ne socha tha ki bujh jaenge gham ke shoale
aa ke kuchh aur hawa di unhen purwai ne

shorish-e-dahr ne begana kiya khud se mujhe
aagahi bakhshi mujhe gosha-e-tanhai ne

ek masum se chehre pe raunat ki numud
hae kya zulm kiya aalam-e-barnai ne

gardish-e-waqt ne maikhane mein dam tod diya
jaane kya chiz pila di tere sahbai ne

rukh tamashe ka badal dala achanak aa kar
ek khush-chehra khush-andaz tamashai ne

charkh aapas ke talluq ka ye andaz bhi dekh
kar diya un ko bhi ruswa meri ruswai ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close