husn majbur-e-jafa hai shayad

husn majbur-e-jafa hai shayad
ye bhi ek tarz-e-ada hai shayad

ek ghamnak si aati hai sada
koi dil tut raha hai shayad

khud-faramosh hua jata hun
tu mujhe bhul gaya hai shayad

in hasin chand sitaron mein kahin
tera naqsh-e-kaf-e-pa hai shayad

ek duniya se hue begane
tujh se milne ka sila hai shayad

har ghadi ashk-fishan hain aankhen
yahi anjam-e-wafa hai shayad

in labon par ye tabassum ki ziya
shokhi-e-bakht-e-rasa hai shayad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close