husn par zeba nahin ye lan-tarani aap ki chaar din ki chandni hai naujawani aap ki hum bhi kuchh munh se jo kah baithen to phir kitni rahe dekhiye achchhi nahin ye bad-zabani aap ki kuchh samajh mein haal ye aata nahin hairan hun aaj hai kaisi ye mujh par mehrbani aap ki baz aae hum ye apna-ap chhalla lijiye har kisi ke hath mein hai ab nishani aap ki rah mein bhi dekh kar munh pher lete hain huzur aaj kal hai kis qadar na-mehrbani aap ki do ghadi ek rang par qaem nahin husn-e-shabab kya musawwir khinche taswir-e-jawani aap ki aab-e-haiwan hai kahin zahr-e-halahal hai kahin talkh-goi aap ki shirin-zabani aap ki khwab mein hum ko na aane dete to hum jaante ki raqibon ne ye kaisi pasbani aap ki apne marne ka nahin gham ranj hai is baat ka aaj ungli se utarti hai nishani aap ki haal-e-dil sunte nahin ye kah ke khush kar dete hain phir kabhi fursat mein sun lenge kahani aap ki hum ko ye daulat kabhi milti to hum bhi jaante hogi jis ke waste hogi jawani aap ki