ibtida har ek KHushi ki intiha-e-gham se hai

ibtida har ek khushi ki intiha-e-gham se hai
tazgi-e-ghuncha-o-gul girya-e-shabnam se hai

hadsat-e-dahr mein shamil raha kis ka lahu
surkh-rui bagh-e-alam ki hamare dam se hai

apne mai-khwaron ko saqi mast nazron ki pila
raunaq-e-bazm-e-masarrat daur-e-jam-e-jam se hai

mushkilen kitni bhi hon manzil pe pahunchenge zarur
kaamyabi ki tawaqqo koshish-e-paiham se hai

hum se hi wabasta hai 'akhtar' bahaar-e-rang-o-bu
husn ki naz-afrini aashiqi ke dam se hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close