ibtida kya hai intiha kya hai maut ka nam dusra kya hai bahr-o-bar mein talash hai kis ki mujh se kya jaane kho gaya kya hai zikr kar ke meri mohabbat ka ye bhi kah do meri khata kya hai ek tamanna hai tujh ko pane ki lab pe aai hai jo dua kya hai main to sajde mudam karta hun mujh se puchho ki muddaa kya hai teri furqat mein mujh ko har lamha jaan ka rog lag gaya kya hai khar dil mein mere khatakta kyon tu agar jaanta wafa kya hai jaan-o-dil to fida hue tujh par ab mere pas rah gaya kya hai jo hue hain shahid ulfat mein ai 'rafiq' un ka martaba kya hai