ibtida se hum zaif o na-tawan paida hue

ibtida se hum zaif o na-tawan paida hue
ud gaya jab rang rukh se ustukhwan paida hue

khaksari ne dikhain rifaton par rifaten
is zamin se wah kya kya aasman paida hue

ilm khaliq ka khazana hai miyan-e-kaf-o-nun
ek kun kahne se ye kaun-o-makan paida hue

zabt dekho sab ki sun li aur kuchh apni kahi
is zaban-dani par aise be-zaban paida hue

shor-bakhti aai hisse mein unhin ke wa nasib
talkh-kaami ke liye shirin-zaban paida hue

ehtiyat-e-jism kya anjam ko socho 'anis'
khak hone ko ye musht-e-ustukhwan paida hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close