idhar bhi kabhi chaaragar dekh lena hara kyon hai zakhm-e-jigar dekh lena ujale yahin aa ke dam todte hain kabhi sham ko mera ghar dekh lena giran tujh pe guzre na meri rifaqat kade kos hain ham-safar dekh lena nahin aarzi dil ki gham-parwari kuchh yunhi apni hogi basar dekh lena ye hangama-e-qasr-e-parwez ai dil rahega faqat raat bhar dekh lena bapa hashr kar dega rahat-kadon mein mere ranj-o-gham ka asar dekh lena sitamgar ka jashn-e-ramish-gari hai faqat ek raqs-e-sharar dekh lena shabistan-e-ishrat mein jo parda-gar hain wahi honge phir parda-dar dekh lena fasana mera ghaur se sun raha tha hai nam chashm-e-najm-e-sahar dekh lena