ijad gham hua dil-e-muztar ke waste paida junun hua hai mere sar ke waste karte ho fikr ghafilo kya ghar ke waste duniya mein sab muqim hain dam bhar ke waste har shai mein jo ki dekhte hain jalwa dost ka wo log sajda karte hain patthar ke waste us but ne ek baat na mani shab-e-visal lakhon diye khuda o payambar ke waste sun kar payam-e-wasl main qasid se ji utha hai moajaza zarur payambar ke waste mizhgan ko teri hum ne jagah apne dil mein di zeba ye myan hai isi khanjar ke waste likhta hun us pari ki sifat chashm-e-shokh ki tar-e-nigah-e-hur ho mistar ke waste baalish ki ja hai mujh ko tera sang-e-astan kafi hai khak-e-dar mare bistar ke waste jata hun chin kakul-e-ambar-fishan ko main sauda kharidta hai mujhe sar ke waste jitne the zulm sab wo jafa-kar kar chuka baqi rahe na charkh-e-sitamgar ke waste karta hun roz-e-hijr main tadbiren dosto kya kya tasalli-e-dil-e-muztar ke waste saqi sharab-e-ashk hai yan jam-e-chashm mein ehsan uthaen kyun mai o saghar ke waste ai 'sehr' qadr-dan jo na ho koi sher ka to zindagi hai maut sukhnawar ke waste