iKHtilafat mein bimar nazar aate hain

ikhtilafat mein bimar nazar aate hain
mujh ko ye sare hi bimar nazar aate hain

jitne jahil hain nikamme hain uchakke hain yahan
wahi hakim ke taraf-dar nazar aate hain

hukm-e-zardar ye hai un ko nazar-band karo
amn ke jo bhi taraf-dar nazar aate hain

aansuon ki to in aankhon mein kuchh auqat nahin
garche aate hain to bekar nazar aate hain

sare rangon ke gulon se hai chaman ki zinat
ye chaman jo abhi gulzar nazar aate hain

ab jo likh di hai haqiqat to hum 'azhar' sab ko
hain to shair par adakar nazar aate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close