ilahi jaan di hai main ne kis ke ru-e-raushan par hazaron shamen parwana bani hain mere madfan par tajjub kya khamida ho agar talwar qatil ki chadha hai khun kis kis be-gunah ka us ki gardan par wo be-insaf aur apni wafa ki dad ya qismat guman-e-dosti hai sadgi se hum ko dushman par ajab us jalwa-e-yakta mein nairang-e-tamasha hai nai surat se chamka khatir-e-shaikh-o-barahman par main hun marhun-e-minnat sulh-e-kul ka jab se ai 'arshad' yaqin-e-dosti hone laga hai mujh ko dushman par