ilm ko parhez-gari chahiye

ilm ko parhez-gari chahiye
gulshanon ko aabiyari chahiye

sab ko khwahish hai hukumat ki magar
himmaton mein paedari chahiye

ek bo kar katte hain jab hazar
be-zaron ki kisht-kari chahiye

gard unchi ho ke banti hai ghubar
khakiyon ko khaksari chahiye

tukhm bote hi nahin milte samar
har jagah ummid-wari chahiye

hukmaranon ke liye hai lazmi
yun to sab ko raazdari chahiye

kah rahe hain tajrabe europe ke ye
auraton ko parda-dari chahiye

aish ki ja khush-dili darkar hai
gham-kade mein sogwari chahiye

khatm par har ranj ke jab aish hai
aasiyon ko ashk-bari chahiye

hakimon ki mehrbani ke liye
mehnat-o-khidmat-guzari chahiye

din-o-duniya ki masarrat ke liye
mard-o-zan mein khush-gawari chahiye

afw ko hujjat se jab 'saifi' hai bughz
khatiyon ko sharmsari chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close