iltifat-e-am hai wajh-e-pareshani mujhe kis qadar mahngi padi hai un ki arzani mujhe bahr-e-hasti hai meri nazron mein ek dasht-e-sarab ret ka hota hai dhoka dekh kar pani mujhe tere jalwon ka to har ek zarra hai aaina-dar mane-e-nazzara hai khud meri hairani mujhe sai-e-be-hasil thi dil ki koshish-e-ikhfa-e-raaz kar gai ruswa nigahon ki pareshani mujhe ya adu-e-bul-hawas ki naz-bardari karo ya bana lo takhta-e-mashq-e-sitam-rani mujhe khul nahin sakti faqat ek aap ke dil ki girah warna kya kya gutthiyan aati hain suljhani mujhe kis qadar na-paid hain ahl-e-kamal ab ai 'wafa' koi apna bhi nazar aata nahin sani mujhe