ilzam tha diye pe na taqsir raat ki hum ne to bas hawa ke talluq se baat ki har subh jab ki subh-e-qayamat ki tarah aae aise mein kaun hoga jo soche sabaat ki taklif to hui magar ai nakhun-e-malal khulne lagi girah bhi koi apni zat ki zanjir hai jazira hai ya shakh-e-be-samar ab kaun si lakir salamat hai hat ki marne agar na pai to zinda bhi kab rahi tanha kati wo umr jo thi tere sath ki phir bhi na mera qafila lutne se bach saka main ne khabar to rakkhi thi ek ek ghat ki