imkanon se aage mere dosh paDi hain

imkanon se aage mere dosh padi hain
jaani-pahchani aawazen gosh padi hain

tab se hun kis sannate mein kya batlaun
kuchh pahchanen jab se mere hosh padi hain

tariki kya zahir kar paegi un ko
raushniyon mein jo shaklen ru-posh padi hain

khwab ajdad ke beton ka rasta takte hain
daur-e-falak par tabiren khamosh padi hain

nutfe jo bazar se aae hain kis ke hain
ye baaten ab tak na kisi ke hosh padi hain

mustaqbil had-darja khush-ainde hua hai
pichhli qadron se naslen be-gosh padi hain

pushton par sannata tari hone ko hai
auladen ham-jinsi mein madhosh padi hain

sust-khiramon ne phir se manzil mari hai
raftizon ki ninden phir khargosh padi hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close