imtihan apne jafa-kash ka use manzur tha

imtihan apne jafa-kash ka use manzur tha
warna main nazdik tha furqat mein kya kuchh dur tha

puchhe hai aashiq ki apni dekh kar turbat ko kya
kushtgan-e-ishq se ye bhi koi maghfur tha

muddaa tha hum se bhadkana use baaten suna
khair-khwahi ka hamari us mein kya mazkur tha

marte-marte abr ko hargiz na munh chadhne diya
aafrin ai chashm-e-tar tera hi ye maqdur tha

mai-paraston ne tere yun bhi na jaana kaun hai
shaikh go shaitan se zyaada yahan mashhur tha

tira-bakhtan-e-asir-e-zulf ki apne na puchh
roz-o-shab yan ek hai din bhi shab-e-dijur tha

be-qarari dil ki le aai gali mein teri yar
us ko hathon kya karun na-chaar tha majbur tha

wasl mein bhi hae apne ji ki ji mein hi rahi
kuchh na kahne pae 'fidwi' wo nashe mein chur tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close