in logon mein rahne se hum beghar achchhe the kuchh din pahle tak to sab ke tewar achchhe the dekh raha hai jis hairat se pagal kar dega aaine se dar lagta hai patthar achchhe the nadida aazar badan ko ghaarat kar dega zakhm jo dil mein ja utre hain bahar achchhe the raat sitaron wali thi aur dhup bhara tha din jab tak aankhen dekh rahi thin manzar achchhe the aakhir kyun ehsan kiya hai zinda rakhne ka hum jo mar jate to banda-parwar achchhe the aankhen bhar aai hain 'faisal' dub gae hain log in mein kuchh zalim the lekin aksar achchhe the