inT diwar se jab koi khisak jati hai

int diwar se jab koi khisak jati hai
dhup kuchh aur mere sar pe chamak jati hai

kitne darwaze mujhe band nazar aate hain
aankh jab uth ke sar-e-baam-e-falak jati hai

mujh se is baat pe naraaz hain arbab-e-khirad
baat aai hui honton pe atak jati hai

mutmain ho ke kabhi sans na len ahl-e-chaman
aag sinon mein hawa pa ke bhadak jati hai

jaane kya baat hai ab rah-e-wafa mein akasr
zindagi apne hi sae se thithuk jati hai

ek hamin aabla-pai se gila-mand nahin
dosto gardish-e-haalat bhi thak jati hai

ab andhera kabhi raste mein nahin aaega
ab nazar hadd-e-nazar se pare tak jati hai

mere hathon mein wo saghar hai chhalakne wala
ta-ba diwar-e-haram jis ki khanak jati hai

aaj us paikar-e-rangin se mila hun 'parwaz'
jis ke daman se faza sari mahak jati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close