intiha tak baat le jata hun main ab use aise hi samjhata hun main kuchh hawa kuchh dil dhadakne ki sada shor mein kuchh sun nahin pata hun main bin kahe aaunga jab bhi aaunga muntazir aankhon se ghabraata hun main yaad aati hai teri sanjidgi aur phir hansta chala jata hun main fasla rakh ke bhi kya hasil hua aaj bhi us ka hi kahlata hun main chhup raha hun aaine ki aankh se thoda thoda roz dhundlata hun main apni sari shan kho deta hai zakhm jab dawa karta nazar aata hun main sach to ye hai mustarad kar ke use ek tarah se khud ko jhutlata hun main aaj us par bhi bhatakna pad gaya roz jis raste se ghar aata hun main