iqbaal ka zaman hai jo hai zaman hamara hindostan hamara sara jahan hamara taksiriyat ka hamil jamhuriyat ka hamil azmat-nishan sarasar hindostan hamara zar ki hawas nahin kuchh shohrat mein ras nahin kuchh sar par rahe salamat ek saeban hamara rakkhe hain hum ne chun ke garche hain chaar tinke hum ko aziz jaan se ye aashiyan hamara mahw-e-dua hai har dam urdu zaban hamari ya-rab rahe salamat amn-o-aman hamara har gul ka rang alag hai har gul ki bu juda hai har dam rahe mahakta ye gulsitan hamara zehn-o-dil-o-zaban par sah-rangi hai tarana fath-o-zafar ka parcham qaumi nishan hamara