iqrar ki surat thi na inkar ki surat

iqrar ki surat thi na inkar ki surat
dekhi na gai mujh se mere yar ki surat

sab majma-e-ashufta-saran dekh rahe the
main takta raha aaina-bardar ki surat

kuchh din ke liye qafila-e-khush-nazaran bhi
gardish mein raha gardish-e-parkar ki surat

wo shahr jo raunaq tha jahan-e-guzaran ki
lagta hai mujhe wadi-e-pur-khar ki surat

main dasht-e-tamanna ka musafir hun mujhe bhi
ek saya mile saya-e-diwar ki surat

ab tak meri aankhon mein hararat hai wafa ki
dekhi thi kabhi kucha-e-dildar ki surat

'akhtar' ko na ras aaya kabhi mausam-e-hijran
phir bhi hai rawan lamha-e-bedar ki surat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close