is bahr-e-be-sada mein kuchh aur niche jaen aawaz ka khazina shayad tahon mein paen galiyon mein sad rahi hain bite dinon ki lashen kamre mein gunjti hain be-nam si sadaen mazi ki ye imarat mehman hai koi dam ki diwar-o-dar shikasta aur tez-tar hawaen lete hi hath mein kyun akhbar phad dala kaisi khabar chhapi thi hum kis ko kya bataen shab ki siyah nadi se 'saifi' ubhar ke socho suraj ki raushni mein sae kahan chhupaen