is bar hua kun ka asar aur tarah ka is bar hai imkan-e-bashar aur tarah ka is bar madine hi mein dar aaya tha kufa is bar kiya hum ne safar aur tarah ka is bar na asbab na chadar pe nazar thi is bar tha lutne ka khatar aur tarah ka is bar koi aib koi aib nahin tha is bar kiya hum ne hunar aur tarah ka is bar koi khair ka talib hi nahin tha is bar tha andesha-e-shar aur tarah ka is bar chali baad-e-sumum aur tarah ki is bar khila hai gul-e-tar aur tarah ka is bar to jibril-e-maani ko mila izn is bar jala lafz ka par aur tarah ka